Friday, January 11, 2013

Har ek aawaaz urdu ko fariyadi batati hai: Munawwar Rana

हर एक आवाज़ उर्दू को फरियादी बताती है
ये पगली फिर भी अब तक खुद को शहजादी बताती है
कई बातें मोहब्बत सबको बुनियादी बताती हैं
जो परदादी बताती थी वही दादी बताती हैं
जहाँ पिछले कई बरसों से काले नाग रहते हैं
वहाँ एक घोसला चिडियों का था दादी बताती है
अभी तक ये इलाका है रवादारी के कब्ज़े में
अभी फिरका परस्ती कम है आबादी बताती है

यहाँ वीरानियों की एक मुद्दत से हुकूमत है
यहाँ से नफरते गुजरी हैं बर्बादी बताती है 
लहू कैसे बहाया जाए ये लीडर बताते हैं
लहू का जायका कैसा है ये खादी बताती है 
गुलामी  ने अभी तक मुल्क का पीछा नहीं छोड़ा
 हमे फिर कैद होना है ये आज़ादी बताती है 
गरीबी  क्यूँ हमारे शहर से बाहर नहीं जाती
 अमीर-ए-शहर के घर की हर एक शादी बताती है
मैं उन आँखों के मयखाने में थोड़ी देर बैठा था 
मुझे दुनिया नशे का आज तक आदी बताती है

Har ek aawaaz urdu ko fariyadi batati hai,
ye pagli phir bhi ab tak khud ko shehzaadi batati hai

kayi baate mohabbat sabko buniyadi batati hai,

jo pardaadi batati thi wahi daadi batati hai

jahan pichhle kayi barson se kaale naag rehte hain
wahan ek ghosla chidhiyon ka tha daadi batati hai

abhi tak ye ilaaka hai rawadaari ke kabze mein,
abhi firka parasti kam hai aabaadi batati hai

yahan veeraniyon ki ek muddat se hukumat hai,
yahan se nafrate guzri hain barbaadi batati hai

lahoo kaise bahaya jaaye ye leader batate hain,
lahoo ka zsayka kaisa hai ye khaadi batati hai

gulaami ne abhi tak mulk ka peechha nahi chhoda,
hume phir kaid hona hai ye aazaadi batati hai

Gareebi kyun humare shehar se bahar nahi jaati,
ameer-e-shehar ke ghar ki har ek shaadi batati hai

main un aankhon ke maikhane mein thodi der baitha tha,
mujhe duniya nashe ka aaj tak aadi batati hai

 
-- Munawwar Rana